Sunday 26 October 2003

home sweet home...

jab shaam ka ghana saaya pada
rah mein liye suitcase khada
ek lift ki taak mein rah to taktey
kabhi aage to kabhi peeche jhaanktey

aankhon mein ek chamak si thi
hoton ki muskurahat bejhijhak si thi
na koi ticket na koi plan bada
suitcase mein jaane kya saamaan pada

bas utha liye jo aaya haath mein
jo dikha use le chala saath mein
ab to ghar jaa ke hi aaraam hoga
teen dino se pehle na koi kaam hoga

ye haath na ruke ye kadam na toote
aisa sunahara mauka na choote
nikal pada bina kuch soche
koi fikr nahi ki koi kya pooche

India-Australia ka koi match tha
dekhne walo ke man mein romanch tha
kintu use tyagne ka bhi koi gham na tha
ab itna sab sochne ka bhi dam na tha

tha ek paper jo submit kiya
vohi jo do baar pehle pit gaya
ab na jaane kya parinaam honge
mere liye to bas ab ram honge

ab to keval vohi rah dikhayenge
meri naiyya kabhi to paar lagayenge.

Jai Ramji ki!

Wednesday 1 October 2003

I wish all software in this world belonged to a single religious analogue of computer science. There would be no conflicts between codes, no missing "dll"s, no exceptions ... !!