Wednesday 10 October 2007

bhramar

ek anjaan bageeche mein
pagal bhramar bhraman karta
milan sundar kali ka ho
bas yahi aas kshan kshan karta


youvan pankh umang sahit
us premi ne udaan bhari
har ang ang khila phoolon ka
khil khil kar muskaan bhari


aalingan par un pushpon ka
na uske man ko tha bhaaya
prem-vash tha vivash bhramar ke
dil mein ik sundar kaaya


madmast bhramar vo man mera
tarase hai prem kali paavan
rang bhar de sundarta jiski
mohit kar de mera jeevan