Wednesday 2 April 2008

Ummeed

maanaa toota mera dil hai
sooni dil ki mehfil hai
naamumkin nahi zindagi lekin
bhale thodi mushkil hai


maanaa nahi ghar-baar hai
thokarein bhi lagataar hain
naamumkin nahi thikaana jab
aashiyaana ye sansaar hai


maanaa nahi koi sang hai
na hi jeevan mein umang hai
naamumkin nahi khushiyan jab
gulon mein itne rang hain


fir jab pathreeli raah ho
gham mein doobi har aah ho
mai chalta rahu, badhta rahu
kyun mujhe dard ki parvaah ho